Islamic Poetry , Hussaini Shayari And SMS

Jaga jaga Main Karke Hussain as Ka Matam

Jagah jagah karke hussain as ka matam
musafirat ko bhi apna watan bana loun ga
farishte noha pharen ge karounga main matam
lahad me ja ker bhi ek anjuman bana loun ga

Wo MUSTAFA (S.A.W) Ki Aankhon Ka Taara HUSSAIN(A.S) Tha

Kosar Ke Saaqi Ka Wo Nawasa,“HUSSAIN Tha…

Jab Karbala Ke Dasht Me Pyasa,“HUSSAIN Tha…

Baadal Yazeedyat Ke Jo Phelay Thay Char Soo

Un Me Chamakta Aik Sitaara,“HUSSAIN tha…

Karta Wo Kese Haath Pe Baet Yazeed Ke

Us Waqt Sab Se Urfa o Aala,“HUSSAIN Tha…

Hilnay Laga Tha Arsh e Ilaahi Bhi Us Gharri

Jab Karbala Ki Rait Pe Tarrpa,“HUSSAIN Tha…

Pardes Me Shaheed Jisay Kar Dya Gaya

Wo MUSTAFA(S.A.W) Ki Aankhon Ka Taara,“HUSSAIN(A.S) Tha.


Labaik Ya Husain (a.s)

Kya Arsh Pa Bhi Seena Zani Hoti Hai Din RatAe Chand Tere Seene Pe Ye Kesa Nisha Hain

Labaik Ya Husain a.s

"Hussain Ibn Haider Pay Lakhuun Salam"


Jin Ko Dhoke Se Kofa Bulaya Gaya
Jin Ko Bethe Bithaye Sataya Gaya
Jin Ke Bacho Ko Pyasa Rulaya Gaya
Jin Ki Garden Pe Khanjar Chalaya Gaya

Jis Ne Haq Karbala Mai Ada Kar Diya
Jis Ne Nana (S.A.Q) Ka Wada Wafa Kar diya

Us Husaain Ibn-E-Haider Pe Lakhon Salam
---------------------------------------------------------------
Sajaa Rkkhi Thi Drriyaa Par Ajubb Baaraat Pani Ki
Bohat Karty The Ashraary Yazedi Bat Pani Ki,

Magar Saahil Pey Pohnchey Thokarain Maari Chaley Aaye
Btaa Di Hazrat Abbas Ne Oqaat Paani Ki...!!!

--------------------------------------------------------Aankhon Main Ishq Apney Khame Lga Rhe Hain
Gham K Tmaam Mosam Dil Main Samaa Rhe Hain,

Olaad-E-Mustafa (PBUH) Par Girye Ke Waastay
Farshe Azaa Bichado Moharram Aa Rhey Hain,...!!!

-------------------------------------------------

Aankon Ke Sahilon Pe Hai Ashkoon Ka Ik Hajoom
Shayad Gham-e-Hussain Ka Mousam Qareeb Hai....!!! 😥😥


-----------------

No comments:

Post a Comment