Friday, June 24, 2016

Sayings Of Imam Ali Ibne Abi Talib (A.S)




1. Mola Ali (AS) ne farmaya : :Jo duniya chahta hai usay maut dhunti hai taake usay duniya se nikaal bahar kare. Aur jo aakherat chahta hai usay duniya dhundti hai taake uski rozi oos tak pahu’ncha de.Source : Tajalliyate Hikmat (Duniya)

2.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Char cheez Jannat ki taraf bulati hai: Musibat ko chhupana, chhupakar sadqa dena, waledain se neki, aur bahut zyada ‘La elaha Illallah’ kehna.Source : Tajalliyate Hikmat

3.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Jo koi raat ko sone se pehle 3 baar Sure Ikhlaas (Qulho Wallaho Ahad) padhe, to Allah 50000 farishte bhejega jo us raat uski hifaazat karege.Source : Uddatud Dai

4.  Mola Ali (AS) ne farmaya : Logon ke darmiyan aise raho ke agar aap mar jaate ho to wo aap par roye aur agar aap zinda ho to wo aap ke saath ke liye tarse.Source : Nahjul Balagah (Saying 9)

5. Mola Ali (AS) ne farmaya : Sab se bada aib ye hai k tum un baton ko doosro’n k liye aib qaraar do jo tum mein khud maujood ho.Source : Tajalliyate Hikmat (Aib-1)

6.Mola Ali (AS) ne farmaya:Aye gunah par gunah kiye jaane wale! Tera baap (Janabe Adam) sirf ek gunah ki wajah se jannat se nikal diya gaya tha. Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 88)

7. Mola Ali (AS) ne farmaya: Usay apna koi raaz na batao jiska koi raaz tumhare paas na ho.Source : Tajalliyate Hikmat (Chapter 104)

8. Mola Ali (AS) ne farmaya: Aey Logo mughy tumhary bary main sabse ziada 2 baton ka dar hy. Ek Khwahishon ki pervi aur doosrey ummeedon ka phailao. Khowaheshon ki pervi vo chez hai jo haq se rok deti hai Aur ummeedon ka phelao aakhrat ko bhula deta hai. Nehjlblaga p#175

9. Mola Ali (AS) ne farmaya : Sabse badaa gunaah wo hai jiska karnewala oose chhota samjhe.Source : Greater Sins III

10. Mola Ali (AS) ne farmaya:Jiska raabita khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota,Naakaam wo hota hai Jiski umeedein duniya se waabasta hon

For More Sayings Visit --- 

Islamic Quotes of Hazrat Ali (A.S)


No comments:

Post a Comment